Saturday 8 November 2014

Yaar bhii raah kii deewaar samajte hain mujhe

Yaar bhii raah kii deewaar samajte hain mujhe

main samajta tha mere yaar samajte hain mujhe

main to yun chup hoon k andar se buhut khaalii hoon

aor sab log pur-israar samajte hain mujhe

main badalte hue haalaat mein dhal jaata hoon

dekhne wale adaakaar samajte hain mujhe

woh jo uss paar hain unn k liiye iss paar hoon mein

woh jo iss paar hain uss paar samajte hain mujhe

naik logoN mein mujhe naik gina jaata hai

aor gunahgaar, gunahgaar samajte hain mujhe

Chalo Tum Theek Kehte Ho

Chalo Tum Theek Kehte Ho

Muhabat Aur Sayasat Main

Sabhi Atwaar Jaaiz Hain

Chalo Hum Maan Lete Hain

Mager Ye Jung Kesi He

Tum Hi Mere Muqabil Ho

Chalo Hum Jeet Ki Khawahish

Tum Hi Pe Waar Dete Hain

Dhanak K Pull Pe Chal K Hum

Gagan K Paar Jaate Hain

CHALO HUM HAAR JAATE HAIN….

Tera hukm ess mein agar na ho

Tera hukm ess mein agar na ho
ksi raat ki b sehar na ho............

jo mataa e ilm o yqeen mily......
mera mud"daa kabhi zarr na ho..

mujhy aashnaa e jamaal kr...........
gham e doo jahaan ki khabar na ho

jo kabhi ho Tujh sy guraiz paa.........
koi TERA aysa bashar na ho............

yeh nahi k tujh ko pukaaroon jab,,,,,,
to meri duaaoun mein asar na ho......

TERI HAMD k ho baghair jo...............
kooi saa"aat asi basar na ho.............

TERY zikr sy hy yooun khaali dil
k sadaf mein jesy gohar na ho

aarzoo hai vafaa kare koi

aarzoo hai vafaa kare koi
ji na chaahe to kyaa kare koi

gar marz ho davaa kare koi
marane vaale kaa kyaa kare koi

koste hain jale hue kyaa kyaa
apane haq mein duaa kare koi

un se sab apani apani kahate hain
meraa matalab adaa kare koi

tum saraapaa ho suurat-e-tasveer
tum se phir baat kyaa kare koi

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!
Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!

Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..??
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!!
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!!
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...??
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??
Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein 

Ye jo Dard Hy azmaish ka

Ye jo Dard Hy azmaish ka...!
Mujhe is se koi Gila Nahi...!

Ye to Zindagi ka usul hy...
Kabhi Apna koi howa Nahi

Ye jo Silsila hy ek Dard ka..
Ye tohfa yunhi mila Nahi..

Tu Jise Jaan kar bhi anjan hy..
Wo Raaz Mene kaha Nahi..

Mujhe Apni khabar to hy Magar..
Teri Soch ka kuch Pata Na

Barishon ka mosam hai,

Barishon ka mosam hai,
Rooh ki fizaon mein,
Ghamzda hawayen hain,
Besabab udasi hai,
Is ajeeb mosam mein,
Beqrar lehjon ki,
Beshumar baaten hain,
Anginat fasane hain,
Jo bohat khamoshi se,
Dil pe sehtay phirtay hain,
Aur ba amar-e-majburi,
Sab se kehtay phirtay hain,
Aaj mosam acha hai..
Aaj mosam acha hai..