sunate hain ki mil jaatii hai har chiiz duaa se
ek roz tumhen maaNg ke dekhenge Khudaa se
tum saamane baiThe ho to hai kaif kii baarish
vo din bhii the jab aag barasatii thii ghaTaa se
ae dil tuu unhen dekh kar kuchh aise taDapanaa
aa jaaye haNsii un ko jo baiThe hain Khafaa se
duniyaa bhii milii hai Gam-e-duniyaa bhii milaa hai
vo kyuuN nahiin milataa jise maaNgaa thaa Khudaa se
jab kuchh na milaa haath duaaon ko uThaakar
phir haath uthaane hii parre, ham ko duaa se
aaiine men vo apnii adaa dekh rahe hain
mar jaaye ki jii jaaye koii unkii balaa se
03:25
Posted in:
0 comments:
Post a Comment