Wednesday, 23 March 2011

wafa ki dastan-e-ghum


wafa ki dastan-e-ghum
chalo tum ko sunatay hian

jo dil par dagh hain apnay
sabhi tum ko dikhatay hain

suno neendain nahin ati
k dil betaab rahta hai
kabhi titlii k kachay rung
kabhi jugnu satatay hian
suno jab sham hoti hai
andheron say khafa ho kar
teri yadon k mandir main
charagh-e-shab jalatay hian

0 comments:

Post a Comment