Monday, 22 August 2011

Badla na apnay aapko jo they wahi rahey

Badla na apnay aapko jo they wahi rahey,
Miltay rahey sabi say magar ajnabi rahey !


Duniya na jeet pao to haaro na khud ko tum,
Thodi bahut to zahan mein naarazgi rahey !


Apni tarah sabi ko kisi ki talaash thi,
Hum jiskay bhi qareeb rahey door hi rahey !

Guzro jo baag say to dua maangtay chalo,
Jis may khilay hain phool woh daali hari rahey !

Badla na apnay aapko jo they wahi rahey,
Miltay rahey sabi say magar ajnabi rahey !

0 comments:

Post a Comment