Sunday, 7 August 2011

dil ke kehne pe jab larey tum thay

dil ke kehne pe jab larey tum thay
phir zamane se kyun darey tum thay

naqsh thay hath ki lakeeron main
dastaras se magar parey tum thay

lakh phaila simat nah paye tum
dil ki auqaat se barey tum thay

hum ne jis rah ka intekhab kiya
uss ke har moor par kharey tum thay

ik sharaar-e-guman ki manind!
dehan ki rakh main parey tum thay

jane kis leher main tha main sarshar!
jane kis mauj main harey tum thay!

hath ke lamas se chalak uthay
jaam ki tarah bharey tum thay

kya tha! jis main ulajh gaya tha main
jane kis baat par aarey tum thay

0 comments:

Post a Comment